चेतन अचेतन

Raat bhi tum Aur Din bhi tum
Kaliyan kaliyan chehki tum 
Har baat baat may tum
Aandhi aur toofan bhi tum
Har lamhe lamhe may tum 
Nadiya aur Sagar bhi tum 
Har Sheetalta ki Shitalta may tum
Mehki mehki khushbu may tum 
Sath chehkti aur Mehkti tum
Har saans may tum bas pran ho tum. 
Aradhya ho tum palan har ho tum. 
Drishti ho tum drishta bhi tumhi. 
Seva ho tum satkar ho tum
Jeewan ho jeewan ke khevan haar ho tum,
Sankalp ho tum aur karna avtar ho tum.
Budhhi ho tum aur vichar ho tum.
[4/11/2024, 9:19 am] Tarun Kumar: Shesh bhi tum avshesh bhi tum. 
Akaar bhi tum Nirakaar bhi tum. 
Tej tumhi pratap tumhi
Cheta aur Achetan tum

तरुण कुमार 
लखनऊ 
04/11/24
09:20 सुबह 

Comments

Popular posts from this blog

मुझे तो बिटिया चाहिए

रूदाद

मज़दूर दिवस