मज़दूर दिवस

मज़दूर दिवस 
रात अँधेरी
शीत बयार
दिन का मेहनत कस इंसान
दुनिया से बिंदास
दिन के सपने रात के सपने कैसे मिलते होंगे
कैसा बचपन कैसी जवानी
कैसा है इन बूढों का बुढ़ापा

कई दर्द कई तकलीफे होंगी
कैसे सोते हैं ये खुलकर,
नहीं छुपा  है इनका जीवन
खुले गगन में चाँद के नीचे
दिन की तपन को भूलके कैसे मस्त पड़ें
कैसा होगा  जो इनके सपनों सौदा करता होगा
क्या होगा कैसा होगा इनके हिस्से का सपना
 शायद करतें हो ये दुआ
अबके सावन में इतना पानी न बरसे
अबकी गर्मी में इतनी लू न चले
होगा इनका भी सपना
आओ हमभी दुआ करें
इनकी भी अपनी  छत हो
जहां बसे इनका भी घर
चार दीवारें इनकी हो
इक दरवाज़ा हो स्वागत का
जहां  खड़े हो इनकी गृहणी इनके बच्चे
हाँथ में   इनके थैला हो
थैले में थोड़े ही चाहे
पर सुन्दर से सपने हों
सुबह का सूरज इनके द्वारे दस्तक दे
आओ हम भी  दुआ करें
इनका भी अपना जीवन हो
आँखों में अच्छे  सपने हों

तरुण कुमार








MAJDOOR
-------------------------
Raat Andheri
Sheet Bayar
Sadke Sooni
Dinka Mehnat kas Insan
Duniya se Bindaas
Din Ke Sapne
Raat Ke Sapne
Kaise Milte Honge
Kaisa Bachpan Kaisi Jawani
Kaisa hai In Boodho Ka Boodhapa
Kai Dard Kai Takleefe Hongi
Kaise sotey Hain Ye Khulkar
Nahi Choopa hai Inka Jeewan
Khule Gagan May Chand Ke Neeche
Din Ki Tapan Ko Bhool Ke Kaise Mast Pade Hain
Kaisa Hoga Jo Inke Sapno Ka Sauda Kerta Hoga
Kya Hoga Kaisa Hoga Inke Hissey Ka Sapna
Shayad Kerte Hon Ye Dua
Abke Sawan May Itna Paani Na Barse
Abke Garmi May Itni Loo Na Chale
Hoga Inka Bhi Sapna
Aao Hum Bhi Karen Dua
Inki Bhi Ho Apni Chatt
Janha Base Inka Bhi Ghar
Char Dewaren Inki Ho
Ik Derwaza Ho Swagat Ka
Janha Khade Hon Inki Grahni Inke Bachhe
Haanth May Inke Thaila Ho
Thailey May Thode Hi Chahay
Par Sunder Se Sapney Hon
Subah Ka Sooraj Inke Dware Dastak De
Aao Humbhi Dua Karen
Inka Bhi Apna Jeewan Ho
Ankho May Achhey Sapne Hon
Tarun Shukla
1st may 1992

मजदूर
रात अँधेरी
शीत बयार
दिन का मेहनत कस इंसान
दुनिया से बिंदास
दिन के सपने रात के सपने कैसे मिलते होंगे
कैसा बचपन कैसी जवानी
कैसा है इन बूढों का बुढ़ापा

कई दर्द कई तकलीफे होंगी
कैसे सोते हैं ये खुलकर,
नहीं छुपा  है इनका जीवन
खुले गगन में चाँद के नीचे
दिन की तपन को भूलके कैसे मस्त पड़ें
कैसा होगा  जो इनके सपनों सौदा करता होगा
क्या होगा कैसा होगा इनके हिस्से का सपना
 शायद करतें हो ये दुआ
अबके सावन में इतना पानी न बरसे
अबकी गर्मी में इतनी लू न चले
होगा इनका भी सपना
आओ हमभी दुआ करें
इनकी भी अपनी  छत हो
जहां बसे इनका भी घर
चार दीवारें इनकी हो
इक दरवाज़ा हो स्वागत का
जहां  खड़े हो इनकी गृहणी इनके बच्चे
हाँथ में   इनके थैला हो
थैले में थोड़े ही चाहे
पर सुन्दर से सपने हों
सुबह का सूरज इनके द्वारे दस्तक दे
आओ हम भी  दुआ करें
इनका भी अपना जीवन हो
आँखों में अच्छे  सपने हों

तरुण कुमार







MAJDOOR
-------------------------
Raat Andheri
Sheet Bayar
Sadke Sooni
Dinka Mehnat kas Insan
Duniya se Bindaas
Din Ke Sapne
Raat Ke Sapne
Kaise Milte Honge
Kaisa Bachpan Kaisi Jawani
Kaisa hai In Boodho Ka Boodhapa
Kai Dard Kai Takleefe Hongi
Kaise sotey Hain Ye Khulkar
Nahi Choopa hai Inka Jeewan
Khule Gagan May Chand Ke Neeche
Din Ki Tapan Ko Bhool Ke Kaise Mast Pade Hain
Kaisa Hoga Jo Inke Sapno Ka Sauda Kerta Hoga
Kya Hoga Kaisa Hoga Inke Hissey Ka Sapna
Shayad Kerte Hon Ye Dua
Abke Sawan May Itna Paani Na Barse
Abke Garmi May Itni Loo Na Chale
Hoga Inka Bhi Sapna
Aao Hum Bhi Karen Dua
Inki Bhi Ho Apni Chatt
Janha Base Inka Bhi Ghar
Char Dewaren Inki Ho
Ik Derwaza Ho Swagat Ka
Janha Khade Hon Inki Grahni Inke Bachhe
Haanth May Inke Thaila Ho
Thailey May Thode Hi Chahay
Par Sunder Se Sapney Hon
Subah Ka Sooraj Inke Dware Dastak De
Aao Humbhi Dua Karen
Inka Bhi Apna Jeewan Ho
Ankho May Achhey Sapne Hon
Tarun Shukla
1st may 1992



tum aati ho
le jati ho
peeda bhay
jeevan , prem

ye sab ke sab
yu dhare dhare
reh jate hain
na sanghi sathi
sanjh sabera aur vo raat
sardi,garmi, ye barsaat

ye sab ke sab
yu dhare dhare
reh jate hain
na jane kaun
safar par jate
janha se laut nahi
phir aate hain
wo gaon nadi
wo mandir thaur
theekane kyu yaad
tumhe nahi aate hain

jeevan mrityu
ka farq
sab jeevan may
jeevit hi samjhate hain

tarun





ye desh hai kisano ka
kisani ke parve manao
ye desh hai nadiyon se bhara pura
jamke tum nahao ,fasle nayi ugao
mausam ki itni fasle milti nahi janha may
hantho may tan badan jismo jan may apne
karodo hazaro wat ki bijli bhari padi hai
isko mulk ki behteri may bahane ki rah dedo
ye rasta hai ous sone ki chidiya ko phir banane ka
..............................
Ye phool aur ye nazm bhi hai tazi
isko pesh kerdo
Asli phool se poojo Deva !
naqli phool ,anaaj se bhai pet insan ka nahi bharta
kabhi dekha hai charte kisi janver ko naqli ghas
kagaz ki ghas , ye kagaz ke phool
bas kagaz rupay nahi ho sakte
kagaz phool nahi ho sakte
kagaz anaj nahi ho sakte
kagaz lafz nahi ho sakte
kagaz soch nahi ho sakte
kagaz sirf kagaz hote hain
kagaz zameen , khet , khalihan, nahi ho sakta
kagaz sirf file ho sakta hai,
kagaz farman ho sakta hai
kagaz vote ho sakta hai
kagaz doctor nahi hota
kagaz aulaad nahi hota
kagaz ,kagaz hota hai
kagaz per fasle nahi ugti
kagaz per tarakki nahi hoti
.............
gareeb ka choolha
kisan ka choolha
Ma ka choolha
tave ki roti
neeche jalti Aag
Kagaz ko Lakdiyon ko jalna padega
Tab Koi Bhookh Shaant Hogi
Netao ki badalti zuban , badalte Iman
cricket bord ki chamkti gend may khoker rehgayi
jo ho sakta tha desh ka mustaqbil
wo paiso ki chaka chondh may kho gaya
wo Power 'pawar' hi reh gaya
Tarun





chand chadren
khuch khana
kuch qarza
kuch zindgi
aur kya tha
jo ye chahte the
itihas ke liye naam
aane wali sadiyon per bojh
iss qarz
iss aitihasik naam
pushton ka hisab
guzri zindgi
ehsaan
chaploosi
bharastachar
lalach
thoda chale
kuch sahtaye
neend marte
baithe sochte
jana to liye jana
wo sab jo
lubhata raha
bhulata raha jo
chooti wo khak
rakh
jo rondi aur rundi aur rundati chali gayi.


TARUN




ye mulk wo hai janha kisan mar rahe hain ,apne josho masti may naujawan hosh kho rahe hain .andh bhakti itni badh chuki hai ,mangte hain Ganpati se sirf apne ghar ka sukh o chain, ho jaye chahe garad is mulk ka kisaan . mango khuda se mango chahe jitni nikalo jhanki, magar jhanklo padosi ki jeb hai khali ,ifraat behte paise issi mulk may hain yaron, lakho karodo ke pandaal hain ye lagate, lakho karodo bachhon ke ser pe chhat nahi hai , koi nahi janhan may jo unki babat soche , rote hain mulk ki gareebi, bhrastachar per aqal ke masiha . baat kero waqt ke maujooda daur ki to, le jayenge hazaron saal peeche murde ukhadne tabke.
nayi tasweer, naya khayal, mulk ki behteri ka, khud ki behteri ka aata kyu nahi maujooda qaumo ko, behter soch aur kifayat se hi hogi mulk ki timardari, apna-apna bhala soch ker kaise hoga sabhya samaj .ye sone chandi se kya aqeedat hi pesh kerni hai to dil se ker, hai sare janha ka malik neeyat ko dekhta hai , man may bandho neeyat neki ,imandari ki kerta hai wo qubool, nahi mangta iske badle may bando se apne kuch , dene ki jaat uski aur mangne ki teri, itni badi ye moortiyan kisko dikha rahe ho, apna hi badhta aham dikha rahe ho ,ye kaisi sharaddha, ye kaisi bhakti jisme badhte hain Aham ke qad, bhagwan to wahi hain jo gareeb ki moorti may wahi ameer ki moorti may, kisko dikha rahe ho kisko bata rahe ho , meri badi hai ussase, uski badi hai mujhse , ye kya dikha rahe ho ,kisko bata rahe ho. nadan ho nadani dikha rahe ho . maqsad ko bhool ker khud ko bhula rahe ho, tum bhi jante ho kanha ja rahe ho.To kya usko , usko tum nadan samajh rahe ho. Ye andhi daud, ye andh vishwas kisko de rahe ho , apne bachhon ki ankhen kholo, waqt ka beheter saathi unnhe bano .Bharat ka kisan , Kisan mar raha hai qarzdar ho gaya hai humko unki madad kerni chahiye jaat ,dharam ,prantiyta sab bhool ker, dukh banto sukh apne aap viterit hone lagega. Ye Aradhna apne Eesht ko di gayi shayad behter aradhna ho .







©2003-2010 MySpace.com. All Rights R


Comments

Popular posts from this blog

मुझे तो बिटिया चाहिए

रूदाद